na urdu aur na hindi bolti hai
na urdu aur na hindī boltī hai
ġhazal chāhat kī bolī boltī hai
ham us tahzīb ke qaa.il nahīñ haiñ
jo dehātī ko jañglī boltī hai
jalī roTī kā dukh shauhar ke tā'ne
kabhī sunñā chañgerī boltī hai
khaḌe haiñ lafz nā-zebā safoñ meñ
ye kis lahje meñ vardī boltī hai
ham ahl-e-fan kī fikrī ishtihā se
umūman chā.e-maTThī boltī hai
vagarna boriyat se mar hī jaate
ġhanīmat hai ḳhamoshī boltī hai
musalsal ghar ke ḳhālī bartanoñ se
hamārī tang-dastī boltī hai
milan ke vaqt itnā dhyān rakhnā
bahut ūñchā masahrī boltī hai
shabāb aatā hai jab kaliyoñ ke uupar
to phir sīnoñ se imlī boltī hai
na urdu aur na hindi bolti hai
ghazal chahat ki boli bolti hai
hum us tahzib ke qail nahin hain
jo dehati ko jangli bolti hai
jali roTi ka dukh shauhar ke ta'ne
kabhi sunna changeri bolti hai
khaDe hain lafz na-zeba safon mein
ye kis lahje mein wardi bolti hai
hum ahl-e-fan ki fikri ishtiha se
umuman chae-maTThi bolti hai
wagarna boriyat se mar hi jate
ghanimat hai KHamoshi bolti hai
musalsal ghar ke KHali bartanon se
hamari tang-dasti bolti hai
milan ke waqt itna dhyan rakhna
bahut uncha masahri bolti hai
shabab aata hai jab kaliyon ke upar
to phir sinon se imli bolti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.