na usne haal hi puchha na koi baat hui
na us ne haal hī pūchhā na koī baat huī
kahūñ maiñ kaise ki haañ un se mulāqāt huī
laboñ se mere jo niklī to ik sadā hī rahī
diloñ meñ sab ke jo utrī vo baat baat huī
jo terī diid se raushan huī sahar hai vahī
jo tere pahlū meñ guzrī vo raat raat huī
ye khel dekhe mohabbat ke khel meñ ham ne
na jiit jiit rahī aur na maat maat huī
hisār-e-zāt meñ thā 'imtiyāz' qaid magar
jo apne ḳhol se niklā to zaat zaat huī
na us ne haal hi puchha na koi baat hui
kahun main kaise ki han un se mulaqat hui
labon se mere jo nikli to ek sada hi rahi
dilon mein sab ke jo utri wo baat baat hui
jo teri did se raushan hui sahar hai wahi
jo tere pahlu mein guzri wo raat raat hui
ye khel dekhe mohabbat ke khel mein hum ne
na jit jit rahi aur na mat mat hui
hisar-e-zat mein tha 'imtiyaz' qaid magar
jo apne KHol se nikla to zat zat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.