na usne hi na puchha haal maine bhi
na us ne hī na pūchhā haal maiñ ne bhī
na us ne kī na kī phir call maiñ ne bhī
kahā thā baal jachte haiñ tire sar par
nahīñ kaaTe kabhī phir baal maiñ ne bhī
mujhe sikhlāo mat tum ishq kī chāleñ
guzāre haiñ guzarte saal maiñ ne bhī
pakaḌ meñ hī nahīñ aaya ki thā chālāk
bichhā.e the bahut se jaal maiñ ne bhī
dikhā mat zaḳhm apne ajnabī mujh ko
kamāyā hai yahī kuchh maal maiñ ne bhī
na us ne hi na puchha haal main ne bhi
na us ne ki na ki phir call main ne bhi
kaha tha baal jachte hain tere sar par
nahin kaTe kabhi phir baal main ne bhi
mujhe sikhlao mat tum ishq ki chaalen
guzare hain guzarte sal main ne bhi
pakaD mein hi nahin aaya ki tha chaalak
bichhae the bahut se jal main ne bhi
dikha mat zaKHm apne ajnabi mujh ko
kamaya hai yahi kuchh mal main ne bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.