na wapsi hai jahan se wahan hain sab ke sab
na vāpsī hai jahāñ se vahāñ haiñ sab ke sab
zamīñ pe rah ke zamīñ par kahāñ haiñ sab ke sab
koī bhī ab to kisī ke muḳhālifat meñ nahīñ
ab ek dūsre ke rāzdāñ haiñ sab ke sab
qadam qadam pe añdhere savāl karte haiñ
ye kaise nuur kā tarz-e-bayāñ haiñ sab ke sab
vo bolte haiñ magar bat rakh nahīñ paate
zabān rakhte hai par be-zabāñ haiñ sab ke sab
suī ke girne kī aahaT se guuñj uThte haiñ
giraft-e-khauf meñ ḳhālī makāñ haiñ sab ke sab
jhukā.e sar jo khaḌe haiñ ḳhilāf zulmoñ ke
lagā hai aisā 'dvij' be-zabāñ haiñ sab ke sab
na wapsi hai jahan se wahan hain sab ke sab
zamin pe rah ke zamin par kahan hain sab ke sab
koi bhi ab to kisi ke muKHalifat mein nahin
ab ek dusre ke raazdan hain sab ke sab
qadam qadam pe andhere sawal karte hain
ye kaise nur ka tarz-e-bayan hain sab ke sab
wo bolte hain magar bat rakh nahin pate
zaban rakhte hai par be-zaban hain sab ke sab
sui ke girne ki aahaT se gunj uThte hain
giraft-e-khauf mein KHali makan hain sab ke sab
jhukae sar jo khaDe hain KHilaf zulmon ke
laga hai aisa 'dwij' be-zaban hain sab ke sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.