na wo anjum hai na wo shams-o-qamar jaisa hai
na vo anjum hai na vo shams-o-qamar jaisā hai
āsmāñ us ke liye rāhguzar jaisā hai
chuur ho jā.egā har qatra-e-shabnam kā ġhurūr
chand lamhoñ ke liye jo ki guhar jaisā hai
ab nigāheñ mirī ruktī nahīñ us ke ruḳh par
mere mahbūb kā har 'aks bhañvar jaisā hai
qais rahtā hai yahāñ hiir bhī lailā bhī yahāñ
dil mirā ek mohabbat ke nagar jaisā hai
is salīqe se vo chaltā hai ki Thokar na lage
hai to nā-bīnā magar ahl-e-nazar jaisā hai
ab sabhī amn kī karte haiñ du'ā.eñ 'ḳhushtar'
yā'nī ehsās udhar kā bhī idhar jaisā hai
na wo anjum hai na wo shams-o-qamar jaisa hai
aasman us ke liye rahguzar jaisa hai
chur ho jaega har qatra-e-shabnam ka ghurur
chand lamhon ke liye jo ki guhar jaisa hai
ab nigahen meri rukti nahin us ke ruKH par
mere mahbub ka har 'aks bhanwar jaisa hai
qais rahta hai yahan hir bhi laila bhi yahan
dil mera ek mohabbat ke nagar jaisa hai
is saliqe se wo chalta hai ki Thokar na lage
hai to na-bina magar ahl-e-nazar jaisa hai
ab sabhi amn ki karte hain du'aen 'KHushtar'
ya'ni ehsas udhar ka bhi idhar jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.