na wo dard hai na wo ranj hai na hujum zulmat-e-sham hai
na wo dard hai na wo ranj hai na hujum zulmat-e-sham hai
Khalid Fatehpuri
MORE BYKhalid Fatehpuri
na vo dard hai na vo rañj hai na hujūm zulmat-e-shām hai
mire ḳhushk hoñToñ pe yak-ba-yak jo chamak uThā tirā naam hai
kabhī kahkashāñ se guzar ga.e kabhī bazm-e-gul meñ utar ga.e
jo samajh ga.e to Thahar ga.e tirā dar hī apnā maqām hai
mire ġham haiñ kitne ajiib se vo milā kahāñ hai nasīb se
yahāñ qurb kī mujhe aarzū vahāñ duur hī se salām hai
jo chhupā ke pyāsoñ se maiñ piyūñ jo kisī ke haath se chhīn luuñ
to vo pyaas mujh se gunāh hai to vo jaam mujh pe harām hai
suno sar-phiro mire hāsīdo mirī zindagī kā hai raaz kyā
mirā sar kahīñ bhī jhuke to kyuuñ mirā dil kisī kā ġhulām hai
hameñ thī ḳhabar ye to peshtar ki hai āstīñ meñ chhupī chhurī
mile phir gale yahī soch kar chalo lab pe is ke to raam hai
maiñ vahī huuñ 'ḳhālid'-e-nā-rasā mujhe jāntā hai ye mai-kada
mirā jaam jaam meñ aks hai mirā buuñd buuñd meñ naam hai
na wo dard hai na wo ranj hai na hujum zulmat-e-sham hai
mere KHushk honTon pe yak-ba-yak jo chamak uTha tera nam hai
kabhi kahkashan se guzar gae kabhi bazm-e-gul mein utar gae
jo samajh gae to Thahar gae tera dar hi apna maqam hai
mere gham hain kitne ajib se wo mila kahan hai nasib se
yahan qurb ki mujhe aarzu wahan dur hi se salam hai
jo chhupa ke pyason se main piyun jo kisi ke hath se chhin lun
to wo pyas mujh se gunah hai to wo jam mujh pe haram hai
suno sar-phiro mere hasido meri zindagi ka hai raaz kya
mera sar kahin bhi jhuke to kyun mera dil kisi ka ghulam hai
hamein thi KHabar ye to peshtar ki hai aastin mein chhupi chhuri
mile phir gale yahi soch kar chalo lab pe is ke to ram hai
main wahi hun 'KHalid'-e-na-rasa mujhe jaanta hai ye mai-kada
mera jam jam mein aks hai mera bund bund mein nam hai
- Book : Sitaron Mein Chamak Baqi Hai (Pg. 28)
- Author : Khalid Fatehpuri
- Publication : Khalid Fatehpuri (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.