na wo diwar ki surat hai na dar ki surat
na vo dīvār kī sūrat hai na dar kī sūrat
zindagī apnī lage rāhguzar kī sūrat
ḳhidmat-e-ḳhalq kā jazba liye har mausam meñ
mujh ko rahnā hai bahar-hāl shajar kī sūrat
ḳhushk pattoñ kī tarah sahrā-navardī meñ rahe
ham ne muddat se kahāñ dekhī hai ghar kī sūrat
haiñ ta.āqub meñ mire jhūTī anā ke saa.e
kaash ho jaa.e koī in se mafar kī sūrat
būḌhe maañ baap ne rishtoñ ke hasīñ mele meñ
kho dī hai jaane kahāñ laḳht-e-jigar kī sūrat
vo banā paa.e na 'irfān' ujāloñ meñ shanāḳht
jo the mash.hūr añdheroñ meñ qamar kī sūrat
na wo diwar ki surat hai na dar ki surat
zindagi apni lage rahguzar ki surat
KHidmat-e-KHalq ka jazba liye har mausam mein
mujh ko rahna hai bahar-haal shajar ki surat
KHushk patton ki tarah sahra-nawardi mein rahe
hum ne muddat se kahan dekhi hai ghar ki surat
hain taaqub mein mere jhuTi ana ke sae
kash ho jae koi in se mafar ki surat
buDhe man bap ne rishton ke hasin mele mein
kho di hai jaane kahan laKHt-e-jigar ki surat
wo bana pae na 'irfan' ujalon mein shanaKHt
jo the mashhur andheron mein qamar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.