na wo mai-farosh hote na main baada-KHwar hota
na vo mai-farosh hote na maiñ bāda-ḳhvār hotā
na vo mast-e-nāz hote na mujhe ḳhumār hotā
mujhe tā-hayāt rahtā tirā intizār paiham
agar apnī zindagī par koī e'tibār hotā
ġham-e-intizār kyā hai ye rumūz tujh pe khulte
tujhe bhī kisī kā zālim agar intizār hotā
unheñ is qadar na hotā ye ġhurūr-e-be-niyāzī
mujhe apne jazb-e-dil par agar iḳhtiyār hotā
mire shauq-e-be-karāñ kī koī intihā na hotī
mire halqa-e-junūñ kā na kahīñ hisār hotā
inhīñ hasratoñ meñ guzre mirī zindagī ke lamhe
koī dil-navāz hotā koī ġham-gusār hotā
yahī aarzū hai yā-rab mire jazba-e-darūñ kī
mirī zaat par madār-e-ġham-e-rozgār hotā
koī jalva-rez hotā mirī bazm-e-ārzū meñ
mire dil kī anjuman meñ koī naġhma-bār hotā
na wo mai-farosh hote na main baada-KHwar hota
na wo mast-e-naz hote na mujhe KHumar hota
mujhe ta-hayat rahta tera intizar paiham
agar apni zindagi par koi e'tibar hota
gham-e-intizar kya hai ye rumuz tujh pe khulte
tujhe bhi kisi ka zalim agar intizar hota
unhen is qadar na hota ye ghurur-e-be-niyazi
mujhe apne jazb-e-dil par agar iKHtiyar hota
mere shauq-e-be-karan ki koi intiha na hoti
mere halqa-e-junun ka na kahin hisar hota
inhin hasraton mein guzre meri zindagi ke lamhe
koi dil-nawaz hota koi gham-gusar hota
yahi aarzu hai ya-rab mere jazba-e-darun ki
meri zat par madar-e-gham-e-rozgar hota
koi jalwa-rez hota meri bazm-e-arzu mein
mere dil ki anjuman mein koi naghma-bar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.