na wo tum ho na wo masihai
na vo tum ho na vo masīhā.ī
yūñhī sochā to aañkh bhar aa.ī
ab vo pahlī sī raunaqeñ bhī nahīñ
na vo pahlī sī hai chaman-ārā.ī
vaqt-e-pīrī hai hū kā aalam hai
sū-e-mahshar chalī hai tanhā.ī
dil-e-pur-ḳhūñ kī ye numā.ish hai
nau-ba-nau yuuñ bahār hai aa.ī
kyoñ tirī yaad bhī nahīñ aatī
ġham-e-jānāñ hai tū bhī harjā.ī
kaise kaise guzar ga.e mausam
dil se jaatī rahī shakebā.ī
kyoñ mire shahr aa ga.e ho tum
kyā zarūrī hai ab bhī rusvā.ī
bas karo ab vazāhateñ 'barham'
us se achchhī nahīñ shanāsā.ī
na wo tum ho na wo masihai
yunhi socha to aankh bhar aai
ab wo pahli si raunaqen bhi nahin
na wo pahli si hai chaman-arai
waqt-e-piri hai hu ka aalam hai
su-e-mahshar chali hai tanhai
dil-e-pur-KHun ki ye numaish hai
nau-ba-nau yun bahaar hai aai
kyon teri yaad bhi nahin aati
gham-e-jaanan hai tu bhi harjai
kaise kaise guzar gae mausam
dil se jati rahi shakebai
kyon mere shahr aa gae ho tum
kya zaruri hai ab bhi ruswai
bas karo ab wazahaten 'barham'
us se achchhi nahin shanasai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.