na wo zamin mein tha aur na aasman mein tha
na vo zamīn meñ thā aur na āsmān meñ thā
kabhī yaqīñ meñ mire thā kabhī gumān meñ thā
maiñ ek jaal liye umr bhar bhaTaktā rahā
parinda duur bahut duur āsmān meñ thā
maiñ roz ghar se nikaltā thā DhūñDne ke liye
makīn ban ke vo ḳhud mere hī makān meñ thā
maiñ kaash band darīche se jhāñk hī letā
vo mere kamre ke andar hī sā.ebān meñ thā
adhūrā paḌh ke use log rah ga.e varna
hamārā zikr bhī kuchh us kī dāstān meñ thā
ḳhatā ḳhud apnī nigāhoñ kī thī 'hasan' varna
vo mere jism meñ thā vo to merī jaan meñ thā
na wo zamin mein tha aur na aasman mein tha
kabhi yaqin mein mere tha kabhi guman mein tha
main ek jal liye umr bhar bhaTakta raha
parinda dur bahut dur aasman mein tha
main roz ghar se nikalta tha DhunDne ke liye
makin ban ke wo KHud mere hi makan mein tha
main kash band dariche se jhank hi leta
wo mere kamre ke andar hi saeban mein tha
adhura paDh ke use log rah gae warna
hamara zikr bhi kuchh us ki dastan mein tha
KHata KHud apni nigahon ki thi 'hasan' warna
wo mere jism mein tha wo to meri jaan mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.