na zikr-e-gesu-e-pechan na zulf barham hai
na zikr-e-gesu-e-pechāñ nā zulf barham hai
hamāre ġham kā fasāna bhī kitnā mub.ham hai
hamārā faqr azal se ḳhudī kā mahram hai
hamārā boriyā kab taḳht-e-shāh se kam hai
diloñ kā haal ḳhudā-e-karīm hī jaane
libās-e-zohad meñ nāmūs-e-ibn-e-ādam hai
lahū safed huā kis qadar zamāne kā
jo ro.e ḳhuun ke aañsū kahā ki shabnam hai
kalī kalī pe hai rūdād-e-gulsitāñ likkhī
khile to eid hai murjhā ga.e to mātam hai
hisār-e-zabt pa pahre biThā.e haiñ maiñ ne
samajh rahā hai zamāna ki aañkh pur-nam hai
'zuhūr' sāya-e-ustād-e-mohtaram na sahī
ġhazal kahī jo ye faiz o jigar se kyā kam hai
na zikr-e-gesu-e-pechan na zulf barham hai
hamare gham ka fasana bhi kitna mubham hai
hamara faqr azal se KHudi ka mahram hai
hamara boriya kab taKHt-e-shah se kam hai
dilon ka haal KHuda-e-karim hi jaane
libas-e-zohad mein namus-e-ibn-e-adam hai
lahu safed hua kis qadar zamane ka
jo roe KHun ke aansu kaha ki shabnam hai
kali kali pe hai rudad-e-gulsitan likkhi
khile to eid hai murjha gae to matam hai
hisar-e-zabt pa pahre biThae hain main ne
samajh raha hai zamana ki aankh pur-nam hai
'zuhur' saya-e-ustad-e-mohtaram na sahi
ghazal kahi jo ye faiz o jigar se kya kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.