na zindagi ka koi bharosa na maut ka intizam koi
na zindagī kā koī bharosa na maut kā intizām koī
na zā.iqa hijr meñ bachā hai na zahr meñ hai qivām koī
rahā na dil meñ kisī kā Derā rahā nahīñ jab maqām koī
to kaise pahlū meñ koī baiThe guzāre bhī vaqt-e-shām koī
na ghaTne par hī sukūn miltā na baḌhne par hī qarār aa.e
tabīb mujh ko yuuñ lag rahā hai maraz na merā hai 'aam koī
daġhā jo de kar nikal gayā thā usī kī ḳhātir vo ek laḌkī
hai muntazir aur dabā.e baiThī gul-e-hinā meñ vo naam koī
na zindagi ka koi bharosa na maut ka intizam koi
na zaiqa hijr mein bacha hai na zahr mein hai qiwam koi
raha na dil mein kisi ka Dera raha nahin jab maqam koi
to kaise pahlu mein koi baiThe guzare bhi waqt-e-sham koi
na ghaTne par hi sukun milta na baDhne par hi qarar aae
tabib mujh ko yun lag raha hai maraz na mera hai 'am koi
dagha jo de kar nikal gaya tha usi ki KHatir wo ek laDki
hai muntazir aur dabae baiThi gul-e-hina mein wo nam koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.