na zindagi ko haqiqat na KHwab likhna hai
na zindagi ko haqiqat na KHwab likhna hai
Khalid Nadeem Budauni
MORE BYKhalid Nadeem Budauni
na zindagī ko haqīqat na ḳhvāb likhnā hai
vajūd-e-zīst ko apne sarāb likhnā hai
nazar kā apnī mujhe intiḳhāb likhnā hai
tujhī ko chāñd tujhī ko gulāb likhnā hai
ravāñ ho kārvāñ chāhe zavāl kī jānib
mufakkiroñ ko magar inqalāb likhnā hai
ye husn-o-ishq vafā-o-visāl kā mausam
tumhīñ batāo ki kis ko ḳharāb likhnā hai
fasād jurm adāvat ġhurūr ayyārī
zarā sī umr meñ kitnā hisāb likhnā hai
vo baat likhnā jo zaḳhm-e-jigar kī mūjib ho
agar ḳhatoñ kā hamāre javāb likhnā hai
suḳhnavaroñ ne to likkhā habāb hastī ko
hameñ hayāt ko apnī sarāb likhnā hai
na zindagi ko haqiqat na KHwab likhna hai
wajud-e-zist ko apne sarab likhna hai
nazar ka apni mujhe intiKHab likhna hai
tujhi ko chand tujhi ko gulab likhna hai
rawan ho karwan chahe zawal ki jaanib
mufakkiron ko magar inqalab likhna hai
ye husn-o-ishq wafa-o-visal ka mausam
tumhin batao ki kis ko KHarab likhna hai
fasad jurm adawat ghurur ayyari
zara si umr mein kitna hisab likhna hai
wo baat likhna jo zaKHm-e-jigar ki mujib ho
agar KHaton ka hamare jawab likhna hai
suKHnawaron ne to likkha habab hasti ko
hamein hayat ko apni sarab likhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.