na-ashna-e-dard-e-dil-e-be-qarar log
nā-āshnā-e-dard-e-dil-e-be-qarār log
kyā jāneñ ābrū-e-ġham-e-intizār log
taskīn-e-dil ke vāste hote na ḳhaar log
ai kaash jānte tire ġham kā vaqār log
nazreñ bachā ke chalte haiñ begāna-vār log
ik pal meñ bhuul jaate haiñ barsoñ kā pyaar log
in ke diloñ meñ ab vo mohabbat nahīñ rahī
kitnā badal ga.e haiñ ilāhī ye yaar log
barsoñ kī rasm-o-rāh kā toḌeñ na yuuñ bharam
yuuñ be-ta.alluqī na kareñ iḳhtiyār log
har ik suḳhan hai tanz kā pahlū liye hue
badle ye kab ke lene lage mujh se yaar log
un kī tasalliyāñ na kisī kaam aa sakīñ
mujh ko bachā sake na mire ġham-gusār log
ham ne kiyā jo jaur-e-musalsal kā shukriya
apne kiye pe aap hue sharm-sār log
ik bevafā kī yaad se uljhā huā hai dil
chhoḌeñ na aaj zikr-e-ġham-e-rozgār log
aa.egī jab kabhī unheñ 'āsī' hamārī yaad
ro.eñge phuuT phuuT ke dīvāna-vār log
na-ashna-e-dard-e-dil-e-be-qarar log
kya jaanen aabru-e-gham-e-intizar log
taskin-e-dil ke waste hote na KHar log
ai kash jaante tere gham ka waqar log
nazren bacha ke chalte hain begana-war log
ek pal mein bhul jate hain barson ka pyar log
in ke dilon mein ab wo mohabbat nahin rahi
kitna badal gae hain ilahi ye yar log
barson ki rasm-o-rah ka toDen na yun bharam
yun be-talluqi na karen iKHtiyar log
har ek suKHan hai tanz ka pahlu liye hue
badle ye kab ke lene lage mujh se yar log
un ki tasalliyan na kisi kaam aa sakin
mujh ko bacha sake na mere gham-gusar log
hum ne kiya jo jaur-e-musalsal ka shukriya
apne kiye pe aap hue sharm-sar log
ek bewafa ki yaad se uljha hua hai dil
chhoDen na aaj zikr-e-gham-e-rozgar log
aaegi jab kabhi unhen 'asi' hamari yaad
roenge phuT phuT ke diwana-war log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.