na-azmuda harf the behaal ho gae
nā-āzmūda harf the behāl ho ga.e
sar-tā-ba-pā navishta-e-a.amāl ho ga.e
pahlā varaq ulaTne kī mohlat kahāñ milī
do hī hurūf jaan kā janjāl ho ga.e
milnā milānā shukr-o-shikāyat mohabbateñ
yaaro vo ahd-e-rafta ke ahvāl ho ga.e
niklā thā lāl-posh jazīroñ kī khoj meñ
ab ye ḳhabar bhī aa.e ka.ī saal ho ga.e
bartāv mausamoñ kā bahut munsifāna thā
raste bhī un ke saath hī pāmāl ho ga.e
piilī havā kā zor abhī kuchh ghaTā nahīñ
uḌte hue vo aa.e the be-bāl ho ga.e
vo jism kyā the barf ke paikar tamām the
maiñ ne chhuā to sā'iqa-timsāl ho ga.e
na-azmuda harf the behaal ho gae
sar-ta-ba-pa nawishta-e-amal ho gae
pahla waraq ulaTne ki mohlat kahan mili
do hi huruf jaan ka janjal ho gae
milna milana shukr-o-shikayat mohabbaten
yaro wo ahd-e-rafta ke ahwal ho gae
nikla tha lal-posh jaziron ki khoj mein
ab ye KHabar bhi aae kai sal ho gae
bartaw mausamon ka bahut munsifana tha
raste bhi un ke sath hi pamal ho gae
pili hawa ka zor abhi kuchh ghaTa nahin
uDte hue wo aae the be-baal ho gae
wo jism kya the barf ke paikar tamam the
main ne chhua to sa'iqa-timsal ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.