na-ahl aur nikamme siwa is ke kya karen
nā-ahl aur nikamme sivā is ke kyā kareñ
baiThe har ek shaḳhs pe bas tabsira kareñ
achchhā hai aap apnī hamesha kahā kareñ
lekin kabhī kabhār mirī bhī sunā kareñ
haq baat muñh pe kahne kī aadat hai kyā kareñ
kam-zarf ham se soch-samajh kar milā kareñ
munsif vahī gavāh vahī mudda.ī vah.y
un ko hī iḳhtiyār hai jo faisla kareñ
mohsin ho chārāgar ho masīhā ho kyā ho tum
ham tum se apne dard kā kyoñ tazkira kareñ
kaafī hai apne vāste bas ik ḳhudā kī zaat
har dar pe jā ke kis liye ham iltijā kareñ
buzdil kī tarah kis liye baiThe haiñ ghaat meñ
himmat agar hai aap meñ to sāmnā kareñ
kyā ek ham hī Thahre mohabbat ke pāsdār
kyā ek ham hī saare jahāñ se vafā kareñ
sheroñ meñ dhīre dhīre zarūr aa.egā nikhār
ustād shā.iroñ ko ai 'tābish' paḌhā kareñ
na-ahl aur nikamme siwa is ke kya karen
baiThe har ek shaKHs pe bas tabsira karen
achchha hai aap apni hamesha kaha karen
lekin kabhi kabhaar meri bhi suna karen
haq baat munh pe kahne ki aadat hai kya karen
kam-zarf hum se soch-samajh kar mila karen
munsif wahi gawah wahi muddai wahy
un ko hi iKHtiyar hai jo faisla karen
mohsin ho chaaragar ho masiha ho kya ho tum
hum tum se apne dard ka kyon tazkira karen
kafi hai apne waste bas ek KHuda ki zat
har dar pe ja ke kis liye hum iltija karen
buzdil ki tarah kis liye baiThe hain ghat mein
himmat agar hai aap mein to samna karen
kya ek hum hi Thahre mohabbat ke pasdar
kya ek hum hi sare jahan se wafa karen
sheron mein dhire dhire zarur aaega nikhaar
ustad shairon ko ai 'tabish' paDha karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.