na-ehtiram ka bas ehtiram kar baiThe
nā-ehtirām kā bas ehtirām kar baiThe
ham apne karb kā ḳhud intizām kar baiThe
unheñ to aanā hī kab thā hamārī bastī meñ
hazār tarah ke ham ehtimām kar baiThe
ye be-ruḳhī kā ajab silsila to tab se hai
vo guzre raah se aur ham salām kar baiThe
ḳhamosh tab.a the dāman bachā ke chal diye vo
aur ham nasīb ke maare kalām kar baiThe
lagāo aas nā ummīd rakkho tum 'māham'
bujhāo sham.a vo qissa tamām kar baiThe
na-ehtiram ka bas ehtiram kar baiThe
hum apne karb ka KHud intizam kar baiThe
unhen to aana hi kab tha hamari basti mein
hazar tarah ke hum ehtimam kar baiThe
ye be-ruKHi ka ajab silsila to tab se hai
wo guzre rah se aur hum salam kar baiThe
KHamosh taba the daman bacha ke chal diye wo
aur hum nasib ke mare kalam kar baiThe
lagao aas na ummid rakkho tum 'maham'
bujhao shama wo qissa tamam kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.