na-KHuda ko jab KHuda ka aasra milta nahin
nā-ḳhudā ko jab ḳhudā kā aasrā miltā nahīñ
umr bhar us ko kināroñ kā patā miltā nahīñ
azm-o-himmat ho to har ik rāsta nazroñ meñ hai
kaun sī manzil hai jis kā rāsta miltā nahīñ
hādsoñ ne ġham ke afsāne murattab kar diye
ab kitāb-e-zindagī meñ hādisa miltā nahīñ
ahl-e-bātin kī ināyat bhī zarūrī hai bahut
ahl-e-zāhir ke milā.e se ḳhudā miltā nahīñ
kuchh na kuchh apnā.iyat nazroñ meñ honī chāhiye
ajnabī nazroñ ko sūrat-āshnā miltā nahīñ
jazb sāñsoñ meñ mirī ye kaun āḳhir ho gayā
ab mirī pahchān ab merā pata miltā nahīñ
husn har ta.amīr kā qaa.em hai merī zaat meñ
maiñ vo miTTī huuñ mujhe chhāno to kyā miltā nahīñ
zindagī vaqf-e-ḳhayāl-e-dost hai apnī 'zamīr'
ab kisī goshe meñ ehsās-e-anā miltā nahīñ
na-KHuda ko jab KHuda ka aasra milta nahin
umr bhar us ko kinaron ka pata milta nahin
azm-o-himmat ho to har ek rasta nazron mein hai
kaun si manzil hai jis ka rasta milta nahin
hadson ne gham ke afsane murattab kar diye
ab kitab-e-zindagi mein hadisa milta nahin
ahl-e-baatin ki inayat bhi zaruri hai bahut
ahl-e-zahir ke milae se KHuda milta nahin
kuchh na kuchh apnaiyat nazron mein honi chahiye
ajnabi nazron ko surat-ashna milta nahin
jazb sanson mein meri ye kaun aaKHir ho gaya
ab meri pahchan ab mera pata milta nahin
husn har tamir ka qaem hai meri zat mein
main wo miTTi hun mujhe chhano to kya milta nahin
zindagi waqf-e-KHayal-e-dost hai apni 'zamir'
ab kisi goshe mein ehsas-e-ana milta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.