na-KHush gadai se na wo shahi se KHush hue
nā-ḳhush gadā.ī se na vo shāhī se ḳhush hue
mazlūm zālimoñ kī tabāhī se ḳhush hue
sad-manzila vo qasr-e-anā Dher ho gayā
ahbāb pul-sirāt ke raahī se ḳhush hue
zinda diloñ pe rashk to kartī hai maut bhī
ham sarfarosh ahd-e-ilāhī se ḳhush hue
farzīñ ke sāmne hai piyāda Datā huā
ahl-e-bisāt aise sipāhī se ḳhush hue
vo tālibān-e-sar ye musharraf-ba-māl-o-zar
zehnī ġhulām zill-e-ilāhī se ḳhush hue
kyā ḳhaak Tik sakeñge ḳharīde hue gavāh
sarkār aap kaisī gavāhī se ḳhush hue
aate nahīñ haiñ ḳhair ujāle meñ ba.az log
shab-zinda-dār shab kī siyāhī se ḳhush hue
na-KHush gadai se na wo shahi se KHush hue
mazlum zalimon ki tabahi se KHush hue
sad-manzila wo qasr-e-ana Dher ho gaya
ahbab pul-siraat ke rahi se KHush hue
zinda dilon pe rashk to karti hai maut bhi
hum sarfarosh ahd-e-ilahi se KHush hue
farzin ke samne hai piyaada Data hua
ahl-e-bisat aise sipahi se KHush hue
wo taliban-e-sar ye musharraf-ba-mal-o-zar
zehni ghulam zill-e-ilahi se KHush hue
kya KHak Tik sakenge KHaride hue gawah
sarkar aap kaisi gawahi se KHush hue
aate nahin hain KHair ujale mein baz log
shab-zinda-dar shab ki siyahi se KHush hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.