na-mehrban agarche kisi ki nazar na thi
nā-mehrbāñ agarche kisī kī nazar na thī
ye aur baat hai ki mire haal par na thī
vo shām-e-be-charāġh muqaddar huī mujhe
jo āshnā-e-jalva-e-rū-e-sahar na thī
bhaTke hue the jāda-e-rāh-e-vafā se ham
jab tak kisī kī yaad sharīk-e-safar na thī
tujh ko mirī nigāh ne DhūñDā hai bārhā
us rahguzar pe bhī jo tirī rahguzar na thī
mahfil meñ the sab apnī jagah mutma.in magar
kyā jaane vo nigāh kidhar thī kidhar na thī
'shafqat' mirā ḳhayāl unheñ kyoñ na aa sakā
un ko mire ḳhayāl se vahshat agar na thī
na-mehrban agarche kisi ki nazar na thi
ye aur baat hai ki mere haal par na thi
wo sham-e-be-charagh muqaddar hui mujhe
jo aashna-e-jalwa-e-ru-e-sahar na thi
bhaTke hue the jada-e-rah-e-wafa se hum
jab tak kisi ki yaad sharik-e-safar na thi
tujh ko meri nigah ne DhunDa hai barha
us rahguzar pe bhi jo teri rahguzar na thi
mahfil mein the sab apni jagah mutmain magar
kya jaane wo nigah kidhar thi kidhar na thi
'shafqat' mera KHayal unhen kyon na aa saka
un ko mere KHayal se wahshat agar na thi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 111)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.