na-rasai ka chalo jashn manaen hum log
nā-rasā.ī kā chalo jashn manā.eñ ham log
shāyad is tarah se kuchh kho.eñ to paa.eñ ham log
ret hī ret agar apnā muqaddar Thahrā
kyūñki phir ek gharauñdā hī banā.eñ ham log
jism kī qaid koī qaid nahīñ hotī hai
aao sab jhūTī hadeñ toḌ ke jaa.eñ ham log
is badalte hue mausam kā bharosā bhī nahīñ
giilī miTTī pe koī naqsh sajā.eñ ham log
rok pā.eñge na lamhāt ke mausam ham ko
ek dīvār zamāna to havā.eñ ham log
apne jazbāt ke pākīza tahaffuz ke liye
kabhī malbūs kabhī garm ridā.eñ ham log
koī sūraj na kisī raat ke dāman meñ girā
māñgte hī rahe sadiyoñ se duā.eñ ham log
chāñd utrā nahīñ ab tak bhī zamīñ par 'shabnam'
ek muddat huī dete haiñ sadā.eñ ham log
na-rasai ka chalo jashn manaen hum log
shayad is tarah se kuchh khoen to paen hum log
ret hi ret agar apna muqaddar Thahra
kyunki phir ek gharaunda hi banaen hum log
jism ki qaid koi qaid nahin hoti hai
aao sab jhuTi haden toD ke jaen hum log
is badalte hue mausam ka bharosa bhi nahin
gili miTTi pe koi naqsh sajaen hum log
rok paenge na lamhat ke mausam hum ko
ek diwar zamana to hawaen hum log
apne jazbaat ke pakiza tahaffuz ke liye
kabhi malbus kabhi garm ridaen hum log
koi suraj na kisi raat ke daman mein gira
mangte hi rahe sadiyon se duaen hum log
chand utra nahin ab tak bhi zamin par 'shabnam'
ek muddat hui dete hain sadaen hum log
- Book : Mausam bhiigii aa.nkho.n kaa (Pg. 95)
- Author : Rafia Shabnam Abidi
- Publication : Hassan Publications, Mumbai (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.