na-shanasi ka hamesha gham raha
nā-shanāsī kā hamesha ġham rahā
aa.ina bhī apnā nā-mahram rahā
aag hai us par hai ye be-sho.alagī
apne jalne kā ajab aalam rahā
saare ūñche ghar havā kī zad meñ the
merā malba thā jo mustahkam rahā
maiñ bhī sail-e-ārzū meñ bah gayā
vo bhī ġharq-e-garmī-e-shabnam rahā
ham gire bhī to anā ke ġhaar meñ
TūTte par bhī vahī dam-ḳham rahā
ab hai 'hālī' be-niyāzī kā ḳhalā
ab kahāñ ehsās-e-besh-o-kam rahā
na-shanasi ka hamesha gham raha
aaina bhi apna na-mahram raha
aag hai us par hai ye be-shoalagi
apne jalne ka ajab aalam raha
sare unche ghar hawa ki zad mein the
mera malba tha jo mustahkam raha
main bhi sail-e-arzu mein bah gaya
wo bhi gharq-e-garmi-e-shabnam raha
hum gire bhi to ana ke ghaar mein
TuTte par bhi wahi dam-KHam raha
ab hai 'haali' be-niyazi ka KHala
ab kahan ehsas-e-besh-o-kam raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.