na-tawani ke sabab yan kis se uTTha jae hai
na-tawani ke sabab yan kis se uTTha jae hai
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
nā-tavānī ke sabab yaañ kis se uTThā jaa.e hai
aah uThne kī kaheñ kyā dam hī baiThā jaa.e hai
naza.a meñ har-chand ham chāheñ haiñ do bāteñ kareñ
kyā kareñ maqdūr kab hai kis se bolā jaa.e hai
aamad o raft un kī yaañ sā.at-ba-sā.at hai vahī
kab tabīboñ kā hamāre sar se balvā jaa.e hai
jā-e-riqqat hai mirī hālat to ab ai ham-nashīñ
paañv kyā sīdhe karūñ maiñ dam hī ulTā jaa.e hai
teġh-e-abrū tīr-e-mizhgāñ sab rakhe haiñ saan par
in dinoñ us kī taraf kab ham se dekhā jaa.e hai
zaḳhm-e-dil se mujh ko ik aatī hai bū-e-uns sī
us ke kūche kī taraf shāyad ye rastā jaa.e hai
'mus.hafī' tū ishq kī vaadī meñ āḳhir luT gayā
is bayābāñ meñ koī nādān tanhā jaa.e hai
na-tawani ke sabab yan kis se uTTha jae hai
aah uThne ki kahen kya dam hi baiTha jae hai
naza mein har-chand hum chahen hain do baaten karen
kya karen maqdur kab hai kis se bola jae hai
aamad o raft un ki yan saat-ba-saat hai wahi
kab tabibon ka hamare sar se balwa jae hai
ja-e-riqqat hai meri haalat to ab ai ham-nashin
panw kya sidhe karun main dam hi ulTa jae hai
tegh-e-abru tir-e-mizhgan sab rakhe hain san par
in dinon us ki taraf kab hum se dekha jae hai
zaKHm-e-dil se mujh ko ek aati hai bu-e-uns si
us ke kuche ki taraf shayad ye rasta jae hai
'mushafi' tu ishq ki wadi mein aaKHir luT gaya
is bayaban mein koi nadan tanha jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.