na-tawani subh ne di be-qarari sham ne
nā-tavānī sub.h ne dī be-qarārī shaam ne
jīte-jī uñglī na chhoḌī gardish-e-ayyām ne
phir usī raste pe tū muḌ kar nahīñ aaya jahāñ
ek din ham der tak baiThe ḳhudā ke sāmne
maañ bhī mujh ko DāñTne se Dar rahī hai āj-kal
maar Daalā ḳhud-kushī kī koshish-e-nākām ne
ab to is maġhrūr ko kuchh kamtarī mahsūs ho
zindagī ko rakh diyā hai ḳhud-kushī ke sāmne
us kī yādoñ ke ujāle kaam kuchh aa.e nahīñ
tīrgī itnī baḌhā dī zindagī kī shaam ne
na-tawani subh ne di be-qarari sham ne
jite-ji ungli na chhoDi gardish-e-ayyam ne
phir usi raste pe tu muD kar nahin aaya jahan
ek din hum der tak baiThe KHuda ke samne
man bhi mujh ko DanTne se Dar rahi hai aaj-kal
mar Dala KHud-kushi ki koshish-e-nakaam ne
ab to is maghrur ko kuchh kamtari mahsus ho
zindagi ko rakh diya hai KHud-kushi ke samne
us ki yaadon ke ujale kaam kuchh aae nahin
tirgi itni baDha di zindagi ki sham ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.