na-umidi mein umidon ka safar jari hai
nā-umīdī meñ umīdoñ kā safar jaarī hai
phuul kī chaah meñ kāñToñ kā safar jaarī hai
ab bhī kuchh ḳhvāb bhaTakte haiñ khulī saḌkoñ par
ab bhī TuuTe hue rishtoñ kā safar jaarī hai
ab bhī uḌtā hai ḳhayāloñ meñ dhuāñ maazī kā
ab bhī be-nām azāboñ kā safar jaarī hai
ab bhī dīvār ke us paar se aatī hai sadā
ab bhī vīrāne meñ rūhoñ kā safar jaarī hai
ab bhī ik TuuTe hue ḳhvāb se rishta hai mirā
ab bhī bhīgī huī rātoñ kā safar jaarī hai
giit gaatī hai mire gaañv meñ sāvan kī phuvār
niim ke peḌ pe jhūloñ kā safar jaarī hai
na-umidi mein umidon ka safar jari hai
phul ki chah mein kanTon ka safar jari hai
ab bhi kuchh KHwab bhaTakte hain khuli saDkon par
ab bhi TuTe hue rishton ka safar jari hai
ab bhi uDta hai KHayalon mein dhuan mazi ka
ab bhi be-nam azabon ka safar jari hai
ab bhi diwar ke us par se aati hai sada
ab bhi virane mein ruhon ka safar jari hai
ab bhi ek TuTe hue KHwab se rishta hai mera
ab bhi bhigi hui raaton ka safar jari hai
git gati hai mere ganw mein sawan ki phuwar
nim ke peD pe jhulon ka safar jari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.