nadan-o-kam-nigah raha be-kamal main
nādān-o-kam-nigāh rahā be-kamāl maiñ
qirtās-e-zindagī pe banā ik savāl maiñ
dāvat kināya koī ishāra na iltifāt
dāman ko thāmne kī karūñ kyā majāl maiñ
masrūfiyat ne kuchh bhī kahāñ sochne diyā
har shaḳhs ko gila ki huā huuñ muhāl maiñ
rahtā hai ujlatoñ meñ ki aaya chalā gayā
baiThe kabhī to us se kahūñ dil kā haal maiñ
ham jism kī hudūd se aage nikal ga.e
merī vo kalpanā hai to us kā ḳhayāl maiñ
had se sivā baḌhā hai tamanna kā baar jab
aap apne vāste hī huā huuñ vabāl maiñ
tum hī diyā karoge havāle mire 'nadīm'
sher-o-suḳhan kī aisī banūñgā misāl maiñ
nadan-o-kam-nigah raha be-kamal main
qirtas-e-zindagi pe bana ek sawal main
dawat kinaya koi ishaara na iltifat
daman ko thamne ki karun kya majal main
masrufiyat ne kuchh bhi kahan sochne diya
har shaKHs ko gila ki hua hun muhaal main
rahta hai ujlaton mein ki aaya chala gaya
baiThe kabhi to us se kahun dil ka haal main
hum jism ki hudud se aage nikal gae
meri wo kalpana hai to us ka KHayal main
had se siwa baDha hai tamanna ka bar jab
aap apne waste hi hua hun wabaal main
tum hi diya karoge hawale mere 'nadim'
sher-o-suKHan ki aisi banunga misal main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.