nadar ke sine pe laga tir ghalat hai
nādār ke siine pe lagā tiir ġhalat hai
be-kas pe jo uThtī hai vo shamshīr ġhalat hai
kahne ko bahut kuchh hai to kah kyoñ nahīñ dete
jazbāt ke iz.hār meñ tāḳhīr ġhalat hai
parvāz kī ḳhvāhish se navāzā hai jab us ko
phir fikr ke pairoñ meñ ye zanjīr ġhalat hai
jis ne tumheñ dushman hī banā Daalā vatan kā
ab kahte ho us ḳhvāb kī ta.abīr ġhalat hai
vo jab se banā.ī thī kiyā us kā bharosā
ḳhud maanā musavvir ne ki tasvīr ġhalat hai
ḳhush karte ho kuchh logoñ ko apnoñ ko satā kar
yuuñ qasr-e-siyāsat kī ho ta.amīr ġhalat hai
'zāhid' jo pilā.ī ga.ī bīmār vatan ko
tāsīr se lagtā hai ki iksīr ġhalat hai
nadar ke sine pe laga tir ghalat hai
be-kas pe jo uThti hai wo shamshir ghalat hai
kahne ko bahut kuchh hai to kah kyon nahin dete
jazbaat ke izhaar mein taKHir ghalat hai
parwaz ki KHwahish se nawaza hai jab us ko
phir fikr ke pairon mein ye zanjir ghalat hai
jis ne tumhein dushman hi bana Dala watan ka
ab kahte ho us KHwab ki tabir ghalat hai
wo jab se banai thi kiya us ka bharosa
KHud mana musawwir ne ki taswir ghalat hai
KHush karte ho kuchh logon ko apnon ko sata kar
yun qasr-e-siyasat ki ho tamir ghalat hai
'zahid' jo pilai gai bimar watan ko
tasir se lagta hai ki iksir ghalat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.