nadida manzilon ke payambar bahut mile
nādīda manziloñ ke payambar bahut mile
ham ko hamārī raah ke patthar bahut mile
dard-āshnā ḳhulūs ke paikar bahut mile
zaḳhmoñ ko DhūñDte hue nashtar bahut mile
siine se ham lagā.e hue the matā’-e-dard
ham se mile bhī log to bach kar bahut mile
kis kis ko apne dil meñ ham āḳhir utārte
jo ham pe mehrbāñ the vo ḳhanjar bahut mile
yādoñ ke zaḳhm dil kā lahū dard-e-be-kasī
kūche meñ zindagī ke sitamgar bahut mile
dekhā jidhar lagī thī shikasta diloñ kī bhiiḌ
ābādiyoñ meñ ujḌe hue ghar bahut mile
palkoñ pe apnī ḳhuub ugī āñsuoñ kī fasl
in ḳhushk Dāliyoñ pe gul-e-tar bahut mile
bheje haiñ us ne kitne mohabbat-bhare ḳhutūt
ham ko hamāre qatl ke mahzar bahut mile
ai 'badr' dil ke daaġh the rātoñ ko zau-fishāñ
tīra-shabī meñ chāñd se paikar bahut mile
nadida manzilon ke payambar bahut mile
hum ko hamari rah ke patthar bahut mile
dard-ashna KHulus ke paikar bahut mile
zaKHmon ko DhunDte hue nashtar bahut mile
sine se hum lagae hue the mata’-e-dard
hum se mile bhi log to bach kar bahut mile
kis kis ko apne dil mein hum aaKHir utarte
jo hum pe mehrban the wo KHanjar bahut mile
yaadon ke zaKHm dil ka lahu dard-e-be-kasi
kuche mein zindagi ke sitamgar bahut mile
dekha jidhar lagi thi shikasta dilon ki bhiD
aabaadiyon mein ujDe hue ghar bahut mile
palkon pe apni KHub ugi aansuon ki fasl
in KHushk Daliyon pe gul-e-tar bahut mile
bheje hain us ne kitne mohabbat-bhare KHutut
hum ko hamare qatl ke mahzar bahut mile
ai 'badr' dil ke dagh the raaton ko zau-fishan
tira-shabi mein chand se paikar bahut mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.