nadir ashya ki jagah chhanT ke lae patthar
nādir ashyā kī jagah chhāñT ke laa.e patthar
ham ne kis shauq se kamre meñ sajā.e patthar
harf-e-haq harf-e-ġhalat karne ko aa.e patthar
maiñ ne sach bol ke har daur meñ khaa.e patthar
ham ne be-faiz chaTānoñ meñ khilā.e gulzār
ham ne zarḳhez zamīnoñ se ugaa.e patthar
roz ubharte rahe dīvār muqābil ban kar
apnī rāhoñ se bahut ham ne haTā.e patthar
kyā ḳhabar kaun se aalam meñ uThī thiiñ nazreñ
maiñ ne dekhā to sitāre nazar aa.e patthar
phuul barsā.e the har ek pe ham ne 'kaifī'
lauT kar ham pe har ik samt se aa.e patthar
nadir ashya ki jagah chhanT ke lae patthar
hum ne kis shauq se kamre mein sajae patthar
harf-e-haq harf-e-ghalat karne ko aae patthar
main ne sach bol ke har daur mein khae patthar
hum ne be-faiz chaTanon mein khilae gulzar
hum ne zarKHez zaminon se ugae patthar
roz ubharte rahe diwar muqabil ban kar
apni rahon se bahut hum ne haTae patthar
kya KHabar kaun se aalam mein uThi thin nazren
main ne dekha to sitare nazar aae patthar
phul barsae the har ek pe hum ne 'kaifi'
lauT kar hum pe har ek samt se aae patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.