nakaamiyon ka gham sar-e-manzil nahin raha
nākāmiyoñ kā ġham sar-e-manzil nahīñ rahā
ab dil kisī bhī raah ke qābil nahīñ rahā
sahnī paḌīñ kuchh itnī zamāne kī saḳhtiyāñ
dil un kī aarzū pe bhī maa.il nahīñ rahā
ai bārgāh-e-husn ye kyā vaqt aa gayā
tere karam kā ab koī saa.il nahīñ rahā
pāmāl-e-huzn-o-ġhaflat-o-ġham kī ye laash hai
ab bhī kaheñge aap maiñ ġhāfil nahīñ rahā
ab dil hai aur ārzū-e-tark-e-shauq hai
ab dil kisī ke 'ishq ke qābil nahīñ rahā
kyā hādsāt-e-zīst ke ham nazr ho ga.e
lutf-o-karam kisī kā jo shāmil nahīñ rahā
'asmā' chahal-pahal thī vo majnūñ se dasht meñ
ab dil-rubā nazāra-e-mahmil nahīñ rahā
nakaamiyon ka gham sar-e-manzil nahin raha
ab dil kisi bhi rah ke qabil nahin raha
sahni paDin kuchh itni zamane ki saKHtiyan
dil un ki aarzu pe bhi mail nahin raha
ai bargah-e-husn ye kya waqt aa gaya
tere karam ka ab koi sail nahin raha
pamal-e-huzn-o-ghaflat-o-gham ki ye lash hai
ab bhi kahenge aap main ghafil nahin raha
ab dil hai aur aarzu-e-tark-e-shauq hai
ab dil kisi ke 'ishq ke qabil nahin raha
kya hadsat-e-zist ke hum nazr ho gae
lutf-o-karam kisi ka jo shamil nahin raha
'asma' chahal-pahal thi wo majnun se dasht mein
ab dil-ruba nazara-e-mahmil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.