nala-e-dil ki sada diwar mein hai dar mein hai
nala-e-dil ki sada diwar mein hai dar mein hai
Shoaib Ahmad Merathi Nudrat
MORE BYShoaib Ahmad Merathi Nudrat
nāla-e-dil kī sadā dīvār meñ hai dar meñ hai
suur yā mahshar meñ hogā yā hamāre ghar meñ hai
yuuñ to marne ko marūñgā maiñ magar miTTī mirī
yā falak ke haath meñ yā aap kī Thokar meñ hai
maiñ pareshāñ ho ke niklūñgā to un kī bazm se
merī barbādī kā sāmāñ hai to un ke ghar meñ hai
vo agar dekheñ to ab hālat sañbhaltī hai mirī
vo agar pūchheñ to ab mujh ko shifā dam-bhar meñ hai
ye nahīñ mauqa hañsī kā tum nazar badle raho
ab qazā merī isī bigḌe hue tevar meñ hai
de de chullū meñ ikaTThī kar ke ai saaqī mujhe
kuchh abhī to ḳhum meñ hai shīshe meñ hai sāġhar meñ hai
naqd-e-jāñ lene ko maqtal meñ qazā nudrat mirī
ban ke dulhan rūnumā ā.īna-e-ḳhanjar meñ hai
nala-e-dil ki sada diwar mein hai dar mein hai
sur ya mahshar mein hoga ya hamare ghar mein hai
yun to marne ko marunga main magar miTTi meri
ya falak ke hath mein ya aap ki Thokar mein hai
main pareshan ho ke niklunga to un ki bazm se
meri barbaadi ka saman hai to un ke ghar mein hai
wo agar dekhen to ab haalat sanbhalti hai meri
wo agar puchhen to ab mujh ko shifa dam-bhar mein hai
ye nahin mauqa hansi ka tum nazar badle raho
ab qaza meri isi bigDe hue tewar mein hai
de de chullu mein ikaTThi kar ke ai saqi mujhe
kuchh abhi to KHum mein hai shishe mein hai saghar mein hai
naqd-e-jaan lene ko maqtal mein qaza nudrat meri
ban ke dulhan runuma aaina-e-KHanjar mein hai
- Book : Noquush (Pg. B-425 E435)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.