nala-e-dil mein mere ab wo asar ho ki na ho
nāla-e-dil meñ mire ab vo asar ho ki na ho
kyā patā un ko mire ġham kī ḳhabar ho ki na ho
haiñ farozāñ mire dil meñ tirī yādoñ ke charāġh
ġham nahīñ koī shab-e-ġham kī sahar ho ki na ho
raqs to kar luuñ zarā mauj-e-sabā kī gat par
phir gulistāñ meñ bahāroñ kā guzar ho ki na ho
ab bhī vābasta hai dil se mire ummīd-e-karam
laġhzishoñ par mirī rahmat kī nazar ho ki na ho
ham bhī mushtāq haiñ lutf-e-nigah-e-jānāñ ke
dekhiye chashm-e-karam un kī idhar ho ki na ho
baat āfiyyat-e-sāhil kī to kar luuñ kuchh der
bahr-e-ālām kī maujoñ se mafar ho ki na ho
kar lo taz.īn-e-ġhazal dil ke lahū se 'nāsir'
taaza is tarah se phir zaḳhm-e-jigar ho ki na ho
nala-e-dil mein mere ab wo asar ho ki na ho
kya pata un ko mere gham ki KHabar ho ki na ho
hain farozan mere dil mein teri yaadon ke charagh
gham nahin koi shab-e-gham ki sahar ho ki na ho
raqs to kar lun zara mauj-e-saba ki gat par
phir gulistan mein bahaaron ka guzar ho ki na ho
ab bhi wabasta hai dil se mere ummid-e-karam
laghzishon par meri rahmat ki nazar ho ki na ho
hum bhi mushtaq hain lutf-e-nigah-e-jaanan ke
dekhiye chashm-e-karam un ki idhar ho ki na ho
baat aafiyyat-e-sahil ki to kar lun kuchh der
bahr-e-alam ki maujon se mafar ho ki na ho
kar lo tazin-e-ghazal dil ke lahu se 'nasir'
taza is tarah se phir zaKHm-e-jigar ho ki na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.