nala-e-dil nikal na jae kahin
nāla-e-dil nikal na jaa.e kahīñ
shān-e-hastī badal na jaa.e kahīñ
sar-e-bālīñ vo kar ga.e ehsāñ
marne vaalā sañbhal na jaa.e kahīñ
fauq par bhī nazar zarūrī hai
tahat meñ dil bahal na jaa.e kahīñ
haiñ bahut ahl-e-shauq saf-basta
husn kā vaar chal na jaa.e kahīñ
ho idhar bhī nigāh pīr-e-muġhāñ
sā.at-e-faiz Tal na jaa.e kahīñ
ho jahāñ meñ hī sar kisī sūrat
fikr-e-ahd-e-azal na jaa.e kahīñ
rahiye sābit-qadam gunāh sahī
rā.egāñ har 'amal na jaa.e kahīñ
mustaqil hosh chāhiye 'sāqī'
aaj kī baat kal na jaa.e kahīñ
nala-e-dil nikal na jae kahin
shan-e-hasti badal na jae kahin
sar-e-baalin wo kar gae ehsan
marne wala sanbhal na jae kahin
fauq par bhi nazar zaruri hai
tahat mein dil bahal na jae kahin
hain bahut ahl-e-shauq saf-basta
husn ka war chal na jae kahin
ho idhar bhi nigah pir-e-mughan
saat-e-faiz Tal na jae kahin
ho jahan mein hi sar kisi surat
fikr-e-ahd-e-azal na jae kahin
rahiye sabit-qadam gunah sahi
raegan har 'amal na jae kahin
mustaqil hosh chahiye 'saqi'
aaj ki baat kal na jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.