nala-e-shab ka asar dekhenge
nāla-e-shab kā asar dekheñge
sham.a ko vaqt-e-sahar dekheñge
aañkh uThā kar vo jidhar dekheñge
merā hī husn-e-nazar dekheñge
ham-safar dekhte rah jā.eñge
jab mirā azm-e-safar dekheñge
jab bhī guzreñge tire shahr se ham
sang dekheñge na sar dekheñge
shahr kā shahr umañD aaya hai
aap kis kis kā jigar dekheñge
log pheñkeñge musalsal patthar
jis shajar meñ bhī samar dekheñge
apnā andāza-e-qāmat hogā
log jab zaḳhm-e-hunar dekheñge
nala-e-shab ka asar dekhenge
shama ko waqt-e-sahar dekhenge
aankh uTha kar wo jidhar dekhenge
mera hi husn-e-nazar dekhenge
ham-safar dekhte rah jaenge
jab mera azm-e-safar dekhenge
jab bhi guzrenge tere shahr se hum
sang dekhenge na sar dekhenge
shahr ka shahr umanD aaya hai
aap kis kis ka jigar dekhenge
log phenkenge musalsal patthar
jis shajar mein bhi samar dekhenge
apna andaza-e-qamat hoga
log jab zaKHm-e-hunar dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.