nala-kun hijr ki shab ko dil-e-na-saz nahin
nāla-kun hijr kī shab ko dil-e-nā-sāz nahīñ
kyoñ buland ab mire bīmār kī āvāz nahīñ
gar mizāj aaj kisī shoḳh kā nā-sāz nahīñ
kisī liye bazm meñ phir chang kī āvāz nahīñ
taḌap utnī nahīñ tezī nahīñ āvāz nahīñ
barq meñ bhī dil-e-betāb kā andāz nahīñ
chupke chupke kiyā dil nāvak-e-mizhgāñ se hadaf
hai ta.ajjub ki par-e-tīr kī āvāz nahīñ
dil taḌaptā hai mirā tā.ir-e-bismil kī tarah
ruuh qālib meñ nahīñ tāqat-e-parvāz nahīñ
vā.izoñ kā ye nahīñ qaul-e-daroġh ai rindo
hashr nazdīk hai ye duur kī āvāz nahīñ
arinī maiñ jo kahūñ jalva nazar aa.e kalīm
lan-tarānī kī mire vāste āvāz nahīñ
tā.er-e-qibla-numā kahtā hai muztar ho kar
murġh-e-bismil kī tarah tāqat-e-parvāz nahīñ
gard-bād uTh ke mirī ḳhaak kā ye kahtā hai
ḳhāksāroñ meñ koī mujh sā sar-afrāz nahīñ
daar par chaḌh ke ye mansūr sadā detā hai
aaj mujh sā koī aalam meñ sar-afrāz nahīñ
is mire dil kā uḌā de jo nishāna koī
dahr meñ kyā koī aisā qadar-andāz nahīñ
gul-o-bulbul ko judā baaġh se kar detā hai
tujh sā sayyād koī tafraqa-andāz nahīñ
phūñk detīñ to ye sayyād kā ghar nāloñ se
andalīboñ kī magar sho.ala-e-āvāz nahīñ
saikḌoñ āshiq-o-māshūq chhuḌā.e tū ne
ai ajal tujh sā koī tafraqa-andāz nahīñ
bāda-ḳhvāroñ pe ghaTā ġham kī na kyūñkar chhā.e
dil khule kyā dar-e-mai-ḳhāna agar baaz nahīñ
band ho ho ga.iiñ yuuñ bulbul-e-dil se merī
andalībān-e-chaman zamzama-pardāz nahīñ
jis tarah jaan bachā.ī mai-e-vaslat ne mirī
pur-asar aisā koī sharbat-e-e.ajāz nahīñ
qabr meñ kyoñ na akele mirā jī ghabrā.e
koī mūnis nahīñ yāvar nahīñ dam-sāz nahīñ
paar nāvak na huā toḌ ke dil ko mere
zor baazū meñ tire o qadar-andāz nahīñ
kāTtā kyoñ hai tū qaiñchī se ise ai sayyād
par jo do-chār haiñ ye qabil-e-parvāz nahīñ
qabr par aa ke bhī dil pīsne aa.e ho mirā
paañv rakhne kā lahad par to ye andāz nahīñ
sūrat-e-ashk magar ahl-e-adam jaate haiñ
hai ravāñ qāfila par zang kī āvāz nahīñ
baaġh vīrān kiyā bād-e-ḳhizāñ ne aisā
ham-safīrān-e-chaman kī kahīñ āvāz nahīñ
ho ga.ī band zabāñ jald ḳhabar le iisā
hichkiyoñ kī tire bīmār meñ āvāz nahīñ
sard aahoñ se ho kyā sirr-e-mohabbat zāhir
bū-e-ġhuncha kī tarah dil meñ mire raaz nahīñ
is tarah kufr kī aalam meñ huī hai kasrat
masjidoñ tak meñ azānoñ kī bhī āvāz nahīñ
aaj kyā mar ga.e zindāñ meñ tumhāre qaidī
ḳhair ho kyoñ ġhul-o-zanjīr kī āvāz nahīñ
daur hai mehdī-e-dīñ kā jo jahān meñ 'fāḳhir'
but-kadoñ meñ kahīñ nāqūs kī āvāz nahīñ
nala-kun hijr ki shab ko dil-e-na-saz nahin
kyon buland ab mere bimar ki aawaz nahin
gar mizaj aaj kisi shoKH ka na-saz nahin
kisi liye bazm mein phir chang ki aawaz nahin
taDap utni nahin tezi nahin aawaz nahin
barq mein bhi dil-e-betab ka andaz nahin
chupke chupke kiya dil nawak-e-mizhgan se hadaf
hai tajjub ki par-e-tir ki aawaz nahin
dil taDapta hai mera tair-e-bismil ki tarah
ruh qalib mein nahin taqat-e-parwaz nahin
waizon ka ye nahin qaul-e-darogh ai rindo
hashr nazdik hai ye dur ki aawaz nahin
arini main jo kahun jalwa nazar aae kalim
lan-tarani ki mere waste aawaz nahin
taer-e-qibla-numa kahta hai muztar ho kar
murgh-e-bismil ki tarah taqat-e-parwaz nahin
gard-baad uTh ke meri KHak ka ye kahta hai
KHaksaron mein koi mujh sa sar-afraaz nahin
dar par chaDh ke ye mansur sada deta hai
aaj mujh sa koi aalam mein sar-afraaz nahin
is mere dil ka uDa de jo nishana koi
dahr mein kya koi aisa qadar-andaz nahin
gul-o-bulbul ko juda bagh se kar deta hai
tujh sa sayyaad koi tafraqa-andaz nahin
phunk detin to ye sayyaad ka ghar nalon se
andalibon ki magar shoala-e-awaz nahin
saikDon aashiq-o-mashuq chhuDae tu ne
ai ajal tujh sa koi tafraqa-andaz nahin
baada-KHwaron pe ghaTa gham ki na kyunkar chhae
dil khule kya dar-e-mai-KHana agar baz nahin
band ho ho gain yun bulbul-e-dil se meri
andaliban-e-chaman zamzama-pardaz nahin
jis tarah jaan bachai mai-e-waslat ne meri
pur-asar aisa koi sharbat-e-eajaz nahin
qabr mein kyon na akele mera ji ghabrae
koi munis nahin yawar nahin dam-saz nahin
par nawak na hua toD ke dil ko mere
zor bazu mein tere o qadar-andaz nahin
kaTta kyon hai tu qainchi se ise ai sayyaad
par jo do-chaar hain ye qabil-e-parwaz nahin
qabr par aa ke bhi dil pisne aae ho mera
panw rakhne ka lahad par to ye andaz nahin
surat-e-ashk magar ahl-e-adam jate hain
hai rawan qafila par zang ki aawaz nahin
bagh viran kiya baad-e-KHizan ne aisa
ham-safiran-e-chaman ki kahin aawaz nahin
ho gai band zaban jald KHabar le isa
hichkiyon ki tere bimar mein aawaz nahin
sard aahon se ho kya sirr-e-mohabbat zahir
bu-e-ghuncha ki tarah dil mein mere raaz nahin
is tarah kufr ki aalam mein hui hai kasrat
masjidon tak mein azanon ki bhi aawaz nahin
aaj kya mar gae zindan mein tumhaare qaidi
KHair ho kyon ghul-o-zanjir ki aawaz nahin
daur hai mehdi-e-din ka jo jahan mein 'faKHir'
but-kadon mein kahin naqus ki aawaz nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.