nala nahin ki aah nahin ya buka nahin
naala nahīñ ki aah nahīñ yā bukā nahīñ
ham ne shab-e-firāq meñ kyā kyā kiyā nahīñ
vo dard-e-lā-davā mujhe baḳhshā hai ishq ne
bachne kī kuchh umiid nahīñ aasrā nahīñ
kyā kar rahe ho chāragaro paas se haTo
ab hai duā kā vaqt ye vaqt-e-davā nahīñ
aa jaa.eñ vaqt-e-naz.a to maiñ un ko dekh luuñ
armān koī dil meñ ab is ke sivā nahīñ
'sayyāf' kyā batā.eñ ki dil kā hai haal kyā
muddat se ab to pahlū meñ us kā pata nahīñ
nala nahin ki aah nahin ya buka nahin
hum ne shab-e-firaq mein kya kya kiya nahin
wo dard-e-la-dawa mujhe baKHsha hai ishq ne
bachne ki kuchh umid nahin aasra nahin
kya kar rahe ho chaaragaro pas se haTo
ab hai dua ka waqt ye waqt-e-dawa nahin
aa jaen waqt-e-naza to main un ko dekh lun
arman koi dil mein ab is ke siwa nahin
'sayyaf' kya bataen ki dil ka hai haal kya
muddat se ab to pahlu mein us ka pata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.