nam apna bhi kar gae hote
naam apnā bhī kar ga.e hote
āshiqī meñ jo mar ga.e hote
terā kūcha agar nahīñ hotā
phir na jaane kidhar ga.e hote
be-ḳhudī meñ na gar ḳhudī paate
ham hadoñ se guzar ga.e hote
aas un ko nahīñ thī aane kī
varna ab tak sañvar ga.e hote
gar vo aate mirī ayādat ko
zaḳhm-e-dil mere bhar ga.e hote
bāda-noshī thī tere ġham kā ilaaj
gar na piite to mar ga.e hote
nam apna bhi kar gae hote
aashiqi mein jo mar gae hote
tera kucha agar nahin hota
phir na jaane kidhar gae hote
be-KHudi mein na gar KHudi pate
hum hadon se guzar gae hote
aas un ko nahin thi aane ki
warna ab tak sanwar gae hote
gar wo aate meri ayaadat ko
zaKHm-e-dil mere bhar gae hote
baada-noshi thi tere gham ka ilaj
gar na pite to mar gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.