nam batata hai apna ‘ikram-saba
naam batātā hai apnā ‘ikrām-sabā'
pūchh lo jā kar DhūñDhtā hai vo kis kā patā
dhuup meñ us kā jab komal par jalne lagā
dhyān kā panchhī shāḳh-e-shajar pe lauT aaya
rack meñ rakkhī rakkhī pustak ḳhatm huī
dil ko samay kā dīmak āḳhir chaaT gayā
siine kī ghanghor ghaTā barsī āñkhoñ se
dil kā bhed ūñchī dīvāreñ phāñd gayā
ghūrtā apne ghar kī taraf paayā us ko
khiḌkī ke parde ko haTā kar jab jhāñkā
nam batata hai apna ‘ikram-saba'
puchh lo ja kar DhunDhta hai wo kis ka pata
dhup mein us ka jab komal par jalne laga
dhyan ka panchhi shaKH-e-shajar pe lauT aaya
rack mein rakkhi rakkhi pustak KHatm hui
dil ko samay ka dimak aaKHir chaT gaya
sine ki ghanghor ghaTa barsi aankhon se
dil ka bhed unchi diwaren phand gaya
ghurta apne ghar ki taraf paya us ko
khiDki ke parde ko haTa kar jab jhanka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.