nam hamara duniya wale likkhenge ji-daron mein
naam hamārā duniyā vaale likkheñge jī-dāroñ meñ
naach rahe haiñ apnī apnī laash pe ham bāzāroñ meñ
ek purānī rasm hai baaqī aaj talak darbāroñ meñ
chāñd se chehre chun dete haiñ patthar kī dīvāroñ meñ
aaj kahāñ haiñ shahr meñ yaaro ūñchī gardan vaale log
'aam haiñ ab to paañv baḌe aur sar chhoTe sardāroñ meñ
paar utarne vāloñ ko ab dīvānoñ meñ ginte ho
shāyad ḳhush-qismat the vo jo Duub ga.e mañjdhāroñ meñ
kyā mā'lūm koī chingārī jaag uThe aur chīḳh paḌe
behtar hai tum haath na Daalo in bujhte añgāroñ meñ
vaar pe vaar sahe haiñ lekin ek lahū kī buuñd nahīñ
jism haiñ saare patthar ke yā kaaT nahīñ talvāroñ meñ
kāñch ke ye chamkīle TukḌe āḳhir ḳhuun rulāte haiñ
dil se sachchī chiiz na bāñTo un jhūTe dil-dāroñ meñ
kaun tumhārā dard baTā.e kis ko itnī fursat hai
naam 'rashīd' tum apnā likh lo ḳhud apne ġham-ḳhvāroñ meñ
nam hamara duniya wale likkhenge ji-daron mein
nach rahe hain apni apni lash pe hum bazaron mein
ek purani rasm hai baqi aaj talak darbaron mein
chand se chehre chun dete hain patthar ki diwaron mein
aaj kahan hain shahr mein yaro unchi gardan wale log
'am hain ab to panw baDe aur sar chhoTe sardaron mein
par utarne walon ko ab diwanon mein ginte ho
shayad KHush-qismat the wo jo Dub gae manjdhaaron mein
kya ma'lum koi chingari jag uThe aur chiKH paDe
behtar hai tum hath na Dalo in bujhte angaron mein
war pe war sahe hain lekin ek lahu ki bund nahin
jism hain sare patthar ke ya kaT nahin talwaron mein
kanch ke ye chamkile TukDe aaKHir KHun rulate hain
dil se sachchi chiz na banTo un jhuTe dil-daron mein
kaun tumhaara dard baTae kis ko itni fursat hai
nam 'rashid' tum apna likh lo KHud apne gham-KHwaron mein
- Book : Fasiil-e-lab (Pg. 124)
- Author : Rashiid Qaisarani
- Publication : Aiwan-e-urdu Taimuriya karachi (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.