nam likhna hai to likhna mera diwanon mein
nam likhna hai to likhna mera diwanon mein
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
naam likhnā hai to likhnā mirā dīvānoñ meñ
mere milne kā pata pūchhnā vīrānoñ meñ
le gayā jazba-e-ulfat jo bayābānoñ meñ
saaf suntā huuñ sadā yaar kī ab kānoñ meñ
pārsā koī hai darvesh-o-farishta koī
maiñ hī ik rah gayā insān sā insānoñ meñ
dair-o-kā'ba meñ to miltī hai mujhe nākāmī
kāmyāb hotā huuñ chāhat ke sanam-ḳhānoñ meñ
aaj har koī mirī baat pe hañstā hai magar
naam kal aa.egā merā bhī suḳhan-dānoñ meñ
tum mujhe ek nazar pyaar se dekho 'sāqī'
phir na.ī jaan sī aa jā.egī armānoñ meñ
nam likhna hai to likhna mera diwanon mein
mere milne ka pata puchhna viranon mein
le gaya jazba-e-ulfat jo bayabanon mein
saf sunta hun sada yar ki ab kanon mein
parsa koi hai darwesh-o-farishta koi
main hi ek rah gaya insan sa insanon mein
dair-o-ka'ba mein to milti hai mujhe nakaami
kaamyab hota hun chahat ke sanam-KHanon mein
aaj har koi meri baat pe hansta hai magar
nam kal aaega mera bhi suKHan-danon mein
tum mujhe ek nazar pyar se dekho 'saqi'
phir nai jaan si aa jaegi armanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.