nam sau bar tera maine likha pani par
naam sau baar tirā maiñ ne likhā paanī par
sang-dil maujoñ ne rahne na diyā paanī par
ḳhūn-e-nā-haq se utar jā.egā vo bhī qātil
naaz kartī hai bahut teġh-e-jafā paanī par
duub jaanā thā mohabbat ke samundar meñ jise
us ne be-ḳhauf-o-ḳhatar raqs kiyā paanī par
ab na sāhil kī tamanna hai na girdāb kā Dar
chal paḌī kashtī-e-taslīm-o-razā paanī par
aaj phir sūkhe hue khet raheñge pyāse
ruḳh batātā hai ki barsegī ghaTā paanī par
khel bachchoñ kā nahīñ hotī mohabbat ai dil
naav kāġhaz kī kahāñ le ke chalā paanī par
ittihād aaj 'anāsir meñ hai lekin kab tak
ḳhāk-o-ātish pe bharosā na huā paanī par
'aks un kā hai na aañsū haiñ vahāñ mere 'shafīq'
DhūñDhtī phirtī hai kyā mauj bhalā paanī par
nam sau bar tera main ne likha pani par
sang-dil maujon ne rahne na diya pani par
KHun-e-na-haq se utar jaega wo bhi qatil
naz karti hai bahut tegh-e-jafa pani par
dub jaana tha mohabbat ke samundar mein jise
us ne be-KHauf-o-KHatar raqs kiya pani par
ab na sahil ki tamanna hai na girdab ka Dar
chal paDi kashti-e-taslim-o-raza pani par
aaj phir sukhe hue khet rahenge pyase
ruKH batata hai ki barsegi ghaTa pani par
khel bachchon ka nahin hoti mohabbat ai dil
naw kaghaz ki kahan le ke chala pani par
ittihad aaj 'anasir mein hai lekin kab tak
KHak-o-atish pe bharosa na hua pani par
'aks un ka hai na aansu hain wahan mere 'shafiq'
DhunDhti phirti hai kya mauj bhala pani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.