nam tera zaban par wo late hue
naam terā zabāñ par vo laate hue
ab bhī ro detā hai muskurāte hue
un divānoñ kī mat bebasī pūchhnā
hañs ke milte haiñ jo ġham chhupāte hue
ḳhatm kar dete haiñ log rishta yahāñ
dost ko apnā dushman batāte hue
ḳhvāb kyoñ dekheñ vo vasl kī raat kā
jo bichhaḌ jaate haiñ paas aate hue
us ne duniyā ko hairān kar rakkhā hai
jhuuT ke daur meñ sach dikhāte hue
ho ga.ī duur merī thakan maañ ne jab
māthā chūmā gale se lagāte hue
ai hañsī kyā use bahlā pā.egī tū
ḳhush hai ġham se jo yaarī nibhāte hue
jhiil ko chhoḌ kar tanhā uḌ jaate haiñ
pyaas apnī parinde bujhāte hue
nam tera zaban par wo late hue
ab bhi ro deta hai muskuraate hue
un diwanon ki mat bebasi puchhna
hans ke milte hain jo gham chhupate hue
KHatm kar dete hain log rishta yahan
dost ko apna dushman batate hue
KHwab kyon dekhen wo wasl ki raat ka
jo bichhaD jate hain pas aate hue
us ne duniya ko hairan kar rakkha hai
jhuT ke daur mein sach dikhate hue
ho gai dur meri thakan man ne jab
matha chuma gale se lagate hue
ai hansi kya use bahla paegi tu
KHush hai gham se jo yari nibhate hue
jhil ko chhoD kar tanha uD jate hain
pyas apni parinde bujhate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.