nama-bar aate rahe jate rahe
nama-bar aate rahe jate rahe
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
nāma-bar aate rahe jaate rahe
hijr meñ yuuñ dil ko bahlāte rahe
ye bhī kyā kam hai ki mere haal par
der tak vo ġhaur farmāte rahe
shiddat-e-ehsās-e-tanhā.ī na pūchh
ham bharī mahfil meñ ghabrāte rahe
hijr kī tārīkiyāñ baḌhtī ga.iiñ
mahr o mah aate rahe jaate rahe
koī kyā jānegā ye rāz-o-niyāz
dil hameñ ham dil ko samjhāte rahe
manzil-e-maqsūd par pahuñche vahī
raah meñ jo Thokareñ khāte rahe
nashsha-e-mai tez-tar hotā gayā
shaiḳh sāhab va.az farmāte rahe
kyā ajab shai hai matā-e-dil 'sahar'
jo use khote rahe paate rahe
nama-bar aate rahe jate rahe
hijr mein yun dil ko bahlate rahe
ye bhi kya kam hai ki mere haal par
der tak wo ghaur farmate rahe
shiddat-e-ehsas-e-tanhai na puchh
hum bhari mahfil mein ghabraate rahe
hijr ki tarikiyan baDhti gain
mahr o mah aate rahe jate rahe
koi kya jaanega ye raaz-o-niyaz
dil hamein hum dil ko samjhate rahe
manzil-e-maqsud par pahunche wahi
rah mein jo Thokaren khate rahe
nashsha-e-mai tez-tar hota gaya
shaiKH sahab waz farmate rahe
kya ajab shai hai mata-e-dil 'sahar'
jo use khote rahe pate rahe
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 170)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.