nama-bar KHat de mujhe is se tujhe kya kaam hai
nāma-bar ḳhat de mujhe is se tujhe kyā kaam hai
hai naved-e-zindagī yā maut kā paiġhām hai
dil meñ hai yād-e-butāñ lab par ḳhudā kā naam hai
kahne sunñe ko faqat maz.hab mirā islām hai
jiite jī mujh ko milā kuchh bhī na lutf-e-zindagī
kushta-e-sad-ārzū merā dil-e-nākām hai
aañkh bhī vo tū ne dī jo umr bhar rotī rahī
dil bhī tū ne vo diyā jo kushta-e-ālām hai
kyoñ mire bālīñ pe baiThe ro rahe haiñ vo sadā
kis tarah maiñ un se kah duuñ ab mujhe ārām hai
hijr meñ 'fāzil' kahāñ tak roz mar mar ke jiyūñ
zindagī to zindagī ab maut bhī badnām hai
nama-bar KHat de mujhe is se tujhe kya kaam hai
hai nawed-e-zindagi ya maut ka paigham hai
dil mein hai yaad-e-butan lab par KHuda ka nam hai
kahne sunne ko faqat mazhab mera islam hai
jite ji mujh ko mila kuchh bhi na lutf-e-zindagi
kushta-e-sad-arzu mera dil-e-nakaam hai
aankh bhi wo tu ne di jo umr bhar roti rahi
dil bhi tu ne wo diya jo kushta-e-alam hai
kyon mere baalin pe baiThe ro rahe hain wo sada
kis tarah main un se kah dun ab mujhe aaram hai
hijr mein 'fazil' kahan tak roz mar mar ke jiyun
zindagi to zindagi ab maut bhi badnam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.