nama-bar tu ne chiTThiyan di hain
nāma-bar tū ne chiTThiyāñ dī haiñ
yā lifāfe meñ siskiyāñ dī haiñ
tum mirī chashm-e-ḳhushk mat dekho
is ne sahrā ko naddiyāñ dī haiñ
chhīn kar ḳhvāb merī āñkhoñ se
niiñd kī us ne goliyāñ dī haiñ
ham ne ulfat kī bhiik māñgī thī
us ne kaase meñ jhiḌkiyāñ dī haiñ
tairtī haiñ vo reg-zāroñ meñ
hijr ne kaisī kashtiyāñ dī haiñ
ḳhuub ham ko milī hai āzādī
jis ne hoñToñ ko beḌiyāñ dī haiñ
phuus kā ghar thā jis ne vaqf kiyā
us ne tohfe meñ āñdhiyāñ dī haiñ
jhuum uTThī hai ik udaas kalī
us ke hāthoñ meñ titliyāñ dī haiñ
nanhe hāthoñ se taḳhtiyāñ le kar
aaj kis ne ye barchhiyāñ dī haiñ
nama-bar tu ne chiTThiyan di hain
ya lifafe mein siskiyan di hain
tum meri chashm-e-KHushk mat dekho
is ne sahra ko naddiyan di hain
chhin kar KHwab meri aankhon se
nind ki us ne goliyan di hain
hum ne ulfat ki bhik mangi thi
us ne kase mein jhiDkiyan di hain
tairti hain wo reg-zaron mein
hijr ne kaisi kashtiyan di hain
KHub hum ko mili hai aazadi
jis ne honTon ko beDiyan di hain
phus ka ghar tha jis ne waqf kiya
us ne tohfe mein aandhiyan di hain
jhum uTThi hai ek udas kali
us ke hathon mein titliyan di hain
nanhe hathon se taKHtiyan le kar
aaj kis ne ye barchhiyan di hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.