namus-e-dosti ka shanasa nahin koi
nāmūs-e-dostī kā shanāsā nahīñ koī
vo daur hai ki apnā bhī apnā nahīñ koī
chehre pe chehra zāhir-o-bātin meñ bhī tazād
ik saayā sab ke saath hai tanhā nahīñ koī
raste bikhar rahe haiñ ki vaqt-e-zavāl hai
pahle kī tarah TuuT ke miltā nahīñ koī
parde se bāhar aa ke saroñ kā shumār kar
ye sab mire aziiz haiñ terā nahīñ koī
tārīkiyoñ ko chiir ke aatī hai sub.h-e-nau
sūraj kī raushnī pe to pahrā nahīñ koī
parchhā.iyoñ kā raqs to rahtā hai ās-pās
is ke sivā nazar meñ sarāpā nahīñ koī
namus-e-dosti ka shanasa nahin koi
wo daur hai ki apna bhi apna nahin koi
chehre pe chehra zahir-o-baatin mein bhi tazad
ek saya sab ke sath hai tanha nahin koi
raste bikhar rahe hain ki waqt-e-zawal hai
pahle ki tarah TuT ke milta nahin koi
parde se bahar aa ke saron ka shumar kar
ye sab mere aziz hain tera nahin koi
tarikiyon ko chir ke aati hai subh-e-nau
suraj ki raushni pe to pahra nahin koi
parchhaiyon ka raqs to rahta hai aas-pas
is ke siwa nazar mein sarapa nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.