namus-e-qalam fikr-e-guhar-bar na becho
nāmūs-e-qalam fikr-e-guhar-bār na becho
ai dīda-varo ġhairat-e-fankār na becho
chup rahnā to hai zulm kī tā.īd meñ shāmil
haq baat kaho jur.at-e-iz.hār na becho
virsa hai ye nabiyoñ kā amānat hai ḳhudā kī
jaañ hārne vaalo dil-e-ḳhuddār na becho
kāñTe kabhī hote nahīñ phūloñ ke barābar
ai ahl-e-chaman husn kā me'yār na becho
raushan hai isī nuur se qindīl-e-tamanna
afsurda-dilo lazzat-e-āzār na becho
raas aatī nahīñ sab ko ye āvāra-mizājī
ai dasht-navardo abhī ghar-bār na becho
ai sho'la-ruḳho husn kī pahchān to rakkho
āñkhoñ kī hayā tābish-e-ruḳhsār na becho
kahne do 'azīz' us ko jo kahtā hai zamāna
tum apnā lab-o-lahja-e-ash'ār na becho
namus-e-qalam fikr-e-guhar-bar na becho
ai dida-waro ghairat-e-fankar na becho
chup rahna to hai zulm ki taid mein shamil
haq baat kaho jurat-e-izhaar na becho
wirsa hai ye nabiyon ka amanat hai KHuda ki
jaan haarne walo dil-e-KHuddar na becho
kanTe kabhi hote nahin phulon ke barabar
ai ahl-e-chaman husn ka me'yar na becho
raushan hai isi nur se qindil-e-tamanna
afsurda-dilo lazzat-e-azar na becho
ras aati nahin sab ko ye aawara-mizaji
ai dasht-nawardo abhi ghar-bar na becho
ai sho'la-ruKHo husn ki pahchan to rakkho
aankhon ki haya tabish-e-ruKHsar na becho
kahne do 'aziz' us ko jo kahta hai zamana
tum apna lab-o-lahja-e-ash'ar na becho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.