naqa-e-waqt nikalti hi chali jati hai
nāqa-e-vaqt nikaltī hī chalī jaatī hai
jism se ḳhaak phisaltī hī chalī jaatī hai
zaḳhm siine meñ chhupā rakh ki havā hai aisī
ḳhaak har phuul pe maltī hī chalī jaatī hai
haiñ sab ā.īne pareshāñ ki urūs-e-fitrat
rang har lahza badaltī hī chalī jaatī hai
dil-shikan kitnī hai is ḳhāk-e-ravāñ kī raftār
pā shikastoñ ko kuchaltī hī chalī jaatī hai
kis kī rah dekh rahī hai ki koī sham-e-vafā
dil se ḳheme meñ bhī jaltī hī chalī jaatī hai
sar meñ kyā sho.ala-e-ḳhud-sar hai ki nīche har shai
mom kī tarah pighaltī hī chalī jaatī hai
haath paañv to maiñ mārūñ huuñ pe vo chashm-e-fusūñ
misl-e-gardāb nigaltī hī chalī jaatī hai
phuul pheñke haiñ kisī yaad ne kyā kyā 'haidar'
dil meñ jo raakh thī jaltī hī chalī jaatī hai
naqa-e-waqt nikalti hi chali jati hai
jism se KHak phisalti hi chali jati hai
zaKHm sine mein chhupa rakh ki hawa hai aisi
KHak har phul pe malti hi chali jati hai
hain sab aaine pareshan ki urus-e-fitrat
rang har lahza badalti hi chali jati hai
dil-shikan kitni hai is KHak-e-rawan ki raftar
pa shikaston ko kuchalti hi chali jati hai
kis ki rah dekh rahi hai ki koi sham-e-wafa
dil se KHeme mein bhi jalti hi chali jati hai
sar mein kya shoala-e-KHud-sar hai ki niche har shai
mom ki tarah pighalti hi chali jati hai
hath panw to main marun hun pe wo chashm-e-fusun
misl-e-gardab nigalti hi chali jati hai
phul phenke hain kisi yaad ne kya kya 'haidar'
dil mein jo rakh thi jalti hi chali jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.