narawa tha na-munasib tha magar achchha laga
narawa tha na-munasib tha magar achchha laga
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
nāravā thā nā-munāsib thā magar achchhā lagā
bevafā ik dushmanoñ kī pusht par achchhā lagā
vo achānak lauT aayā toḌ kar rasm-e-firāq
garmiyoñ meñ sard mausam kā samar achchhā lagā
lag ga.ī shāyad mujhe āvārgī kī bad-duā
lauT kar ab ke maiñ aayā huuñ to ghar achchhā lagā
har kisī se hañs ke milnā ḳhush-dilī se bolnā
merā dushman hai magar us kā hunar achchhā lagā
ye mohabbat hai mirī yā us kā hai koī kamāl
jis qadar parkhā use vo us qadar achchhā lagā
aane vaale mausamoñ kī saḳhtiyoñ ke zikr par
us ke chehre par akele-pan kā Dar achchhā lagā
ab ke us ke qurb kī jannat bhī dekhī paas se
ab ke mujh ko ḳhvāb-zāroñ kā safar achchhā lagā
mere baare meñ mujhī se pūchhtā hai vo 'na.īm'
is ḳhabar ke daur meñ ik be-ḳhabar achchhā lagā
narawa tha na-munasib tha magar achchha laga
bewafa ek dushmanon ki pusht par achchha laga
wo achanak lauT aaya toD kar rasm-e-firaq
garmiyon mein sard mausam ka samar achchha laga
lag gai shayad mujhe aawargi ki bad-dua
lauT kar ab ke main aaya hun to ghar achchha laga
har kisi se hans ke milna KHush-dili se bolna
mera dushman hai magar us ka hunar achchha laga
ye mohabbat hai meri ya us ka hai koi kamal
jis qadar parkha use wo us qadar achchha laga
aane wale mausamon ki saKHtiyon ke zikr par
us ke chehre par akele-pan ka Dar achchha laga
ab ke us ke qurb ki jannat bhi dekhi pas se
ab ke mujh ko KHwab-zaron ka safar achchha laga
mere bare mein mujhi se puchhta hai wo 'naim'
is KHabar ke daur mein ek be-KHabar achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.