naseh na bak ziyaada mera man ye suKHan
nāseh na bak ziyāda mirā maan ye suḳhan
mujh setī chhoTe 'ishq hai imkān ye suḳhan
tasbīh namāz roza se mujh ko nahīñ hai kaam
maiñ but-parast huuñ mirī pahchān ye suḳhan
har roz mujh ko 'ishq se kyuuñ roktā hai tū
āḳhir ko kho rahā hai tirī jaan ye suḳhan
dildār dilrubā haiñ mire dil ke mushtarī
maiñ in kā huuñ mirī jaan ye suḳhan
itne meñ merā yaar mire paas aa gayā
kahne lagā ki kyā hai mehrbān ye suḳhan
us be-hayā se kaahe ko ḳhālī karo ho maġhz
ye bevaqūf hai jo kahe aan ye suḳhan
tālib ko mā'rifat ke sabhī chiiz haiñ mu'āf
aksar ke kah ga.e haiñ qadr-dān ye suḳhan
al-qissa ho ḳhamosh kiyā maiñ ne ye yaqīñ
jab muñh se yaar ke paḌā mujh ko kaan ye suḳhan
behtar hai sab se dostī apnī ḳhudā kī 'nayan'
fe'l 'abas hai yaarī gaihān ye suḳhan
naseh na bak ziyaada mera man ye suKHan
mujh seti chhoTe 'ishq hai imkan ye suKHan
tasbih namaz roza se mujh ko nahin hai kaam
main but-parast hun meri pahchan ye suKHan
har roz mujh ko 'ishq se kyun rokta hai tu
aaKHir ko kho raha hai teri jaan ye suKHan
dildar dilruba hain mere dil ke mushtari
main in ka hun meri jaan ye suKHan
itne mein mera yar mere pas aa gaya
kahne laga ki kya hai mehrban ye suKHan
us be-haya se kahe ko KHali karo ho maghz
ye bewaquf hai jo kahe aan ye suKHan
talib ko ma'rifat ke sabhi chiz hain mu'af
aksar ke kah gae hain qadr-dan ye suKHan
al-qissa ho KHamosh kiya main ne ye yaqin
jab munh se yar ke paDa mujh ko kan ye suKHan
behtar hai sab se dosti apni KHuda ki 'nayan'
fe'l 'abas hai yari gaihan ye suKHan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.